Kuch Aisi hai meri khwahishein

_DSC0115-Edit
Image by : JIMIT PATEL
Hain junoon kuch pane ka. Had se gujar jane ka.
Man kare ban ke hawa lahro se takarane ka.
Banjara ban ke phiru. Awara ban ke phiru.
Jaisa mera dil kare. Waise main har pal jiyu.
Kuch Aisi hai meri khwahishein. kuch aisi hai meri Aawargi.
Hajaro se hatke baharo may jake jeena hain mujhe.
Aawargi ki tang sadko pe jake rehna hain mujhe.
Aksar toh main mere dil se baate kiya karta hoon.
Jab mera dil bhi na sune toh aasma may dekh ke Tare gina karta hoon.
Ek waqt aata hain. Jab tare bhi chup jate hain.
Tab main mere dil ko mana ke meri khwahishein jahir karta hoon.
Kuch Aisi hai meri khwahishein. Kuch aisi hain meri Aawargi.
Sarhad ke basecamp may baith jawano se baate karne ka jee karta hain.
Kasaul ki vaadiyo may baith ke gaane gungunane ka jee karta hain.
Murda si aankhe liye logo ko hasane ka jee karta hain.
Ye sari khwahishein puri hojaye aisa mera dil karta hain.
Kuch Aisi hai meri khwahishein. Kuch aisi hain meri Aawargi.
DO VISIT AND READ MY PREVIOUS POEMS.                                                                                                                           Mymidnightpoems.wordpress.com

11 thoughts on “Kuch Aisi hai meri khwahishein

Leave a reply to Shruti Cancel reply